Jaane Kyun?

Na jaane kyu aisa lagta hai,
Jaise mera har supna pura ho gha,
 

Jaise chand ko chandni mil jaaye ghi,
Jaise moujhe to mil jaaye gha,
 

Ek undekha khuwaab,
Ek anjani si ik aas,
 

Aisa lagta hai jaise aaj nahi to kal,
Woh koi apna ajnabi moujhe mil jaaye gha,

Nagme Kyon Hain


kyon chahat mei sada dard ka saaya hai
dil lagaya aur dil dard se bhar aaya hai

falak mei chand aur sitaron ka hisaab kahan
na rahi khabar kab dhala din aur raat kahan

pal bhar ko thahar kar musafir chal he diya
tootey sab khwab armaano ka gala ghont diya

bhool jaaoon usey har baar dil ko samjhaaya
yaadon ka saaya har mor per aa kar humse takraaya

Bheegi Si Ek Raat Yea

Bheegi si ik raat yeh
Ley aai kya saath yeh
Khamoshi k darmiyan
Kab chahi thii baat yeh
Dharknain jo humain
Kehney lagi hain
Na kaho' na suno
Khamoshi guftago Honey
lagi hai

Zindagi khawab mein
Khoney lagi hai
Tabeerain ley aaon mein
Tum sapney dey do mujhe
Aisa kya hai?

Sirf Tum Hi Tum Ho..

Meri soch ki udhan hai jahan talak,
Wahan sirf tum hi tum ho,
 

Meri nazar ki had hai jahan talak,
Wahan
sirf tum hi tum ho,
 

Mera sehra hai jahan talak,
Barsaat
sirf tum hi tum ho,
 

Meri barsaat hai jahan talak,
Ghata
sirf tum hi tum ho,

Meri Dastan Hasrat Wo Suna Suna Kar Roye


Meri dastan hasrat wo suna suna kar roye,
Mere azmane wale mujhe azma kar roye,


Koi aisa ahal-e-dil ho k fasana mohabbat,
Main usse suna kar roun wo mujhe suna kar roye,


Mere pass se guzar gaya mera haal taak na poocha,
Main yeh kaise maan jaun ke wo door jaa kar roye,


Teri bewafaiyon par teri kujarayion par,
Kabhi sir jhuka kar kabhi muh chhupakar roye,