Aakhir Kyun Hai.

Teri Tasweer meri ankhon main basi kyun hai
Jidhar dekho bus udhar tu hi aakhir kyun hai
 

Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin
Tujhe na pa ker meri takdeer roothi aakhir kyun hai

Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna
phir bhi yeh intzaar yeh bekarari
aakhir kyun hai
 

Barson guzar gaye merey tanhayee main lekin
Meri baanhon ko aaj bhi tera intzaar
aakhir kyun hai


Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon roti hoon
Ab nahin hai kuch baki phir yeh jaan baki aakhir kyun hai
 

Khatam huwa mera yeh afsana ek baat bata do lekin
Anjaam tha malum mujh ko phir yeh muhabbat
aakhir kyun hai ???

No comments:

Post a Comment