Wo saray Saharay badal gaye

Badal gai hai ye zindagi abb, 
sabhi nazaray badal gaye
kahin ye mojain badal gai hain 

kahin kinaray badal gaye

badal gaya hai abb uss ka lahja, 

abb us ki ankhain badal gain
wo chand chahra hai abb bhi waisa, 

maray sitaray badal gaye

mila hon tum say too yuun laga hai, 

kay jaisay dono hi ajnabi hain
kabhi jo mujh ko azizain-e-jaan 

thay wo toor saray badal gay


kahin par badla hai kahnay wala
kahin par samaan badal gaye
kahin par ankhain badal gai hain 

kahin par nazaray badal gaye

iss liye bhi main sir jhuka kay 

tari mahfil say chal para hoon
tha naaz jin par kabhi mujhay bhi,

wo saray saharay badal gaye

No comments:

Post a Comment