Aisa kia humne kar diya jo tum khafa ho gaye

Aisa kia humne kar diya jo tum khafa ho gaye,
Wafa ki misaaal the tum kiun bewafa ho gaye,,

Sath dekhe the sapne humne zindagi bitane k,
Rooth ke bhi ek dusre ko payar se manane ke,,

Par na jane kis ki nazar lag gayi hamre payar pe,
K aaj aitebaar he nai raha tumko apne is yaaar pe,,

Kash ke tum samjh pate hamare dil k halaat ko,
To apne sine me rakhte meri mohabbat ki soughat ko,,

Tumko he apna mana,tumko he to apna jana tha,
Tumhare liye to aaye ,tumhare sath he to jana tha,,



Aaj kiu hum duniya ki bhid me akele rah gaye,,
Sare dukh dard kiu hum apne upar he sah gaye,,

Sochta hun kiu sajaye the maine payar k sapne,
Humne to khushi bati,tumne gham bhi nai diye apne,,

Aaj yahi sochta hun,na jane kiu bekarar rahta hun,
Tum apne nai rahe,phir kiu itna payar karta hun,,

Kash k ek baaar tum wapas aa jate ,
To payar kia hota hai duniya ko dikhla jate,,

Kia laye the,kia liya,,or kia le ke ja rahe hain,
Itna he sakun hai k, 5 saal payar k bita k ja rahe hain,,

Bhul na jana kabhi bhi apne is pahle payar ko,
Apni yadon me he yaad rakhna apne is yaar ko,,

No comments:

Post a Comment