Koi

Koi muj ko mera bharpour sarapa la de
Mere bazoo meri aankheen mera chera la de

Asa darya jo kisi aur samandar main gere
Is se bahtar hay k muj ko mera sahra la de

kuch naheen chaye tujh se aye meri umr rawan
Mera bachpan mere jugnon meri ghuriya la de

Jis ki aankheen mujhe andar se bhi parh sakti hoon
koy chera to mere shehar main asa la de


kashti to bhanwar main hay kahi barsoon se
Aye KHUDA ab to dabo de ya kanara la de

No comments:

Post a Comment