Kabhi yaad aye tou puchna zara apni khalwat e sham se

Kabhi yaad aye tou puchna zara apni khalwat e sham se
keh ishq kise tha teri zaat se kise pyar tha tere naam se

Zara yaad ker wo kon tha jo kabhi tujhe azeez tha
wo jo mar mita tere naam pe jo ji utha tere naam se

humain berukhi ka nai gila keh yehi ha wafaon ka sila
magar aisa jurm konsa gaye hum dua o salam se

na kabhi wisaal ki chah ki na kabhi faraq ma ah ki
keh mera treeqa e bandagi ha juda treeqa e aam se


 

No comments:

Post a Comment